Khana khane ki dua ye hamare liye bahut ahem hai, jo hame allah tala ki nematon ka shukar ada karne ki jariya talab kartii hai. Allah tala ne hame es duniya mein bohot se nematein di hai usme se ak hai rijk yani khana . or ye ek aham jaruriyat hai insanon ke liye, hame es nemat ke liye hame apne rab ka sukar ada karna chahiye.
Khane Se Pehle Ki Dua: Pehle Dua Kyun Zaroori Hai?
Khane se pehle hame allah tala ka nam lena chaiye kyonki jo khana allah ke nam liye bagair khaya jata hai wo shaitan ka khana hota hai to isliye hame chahiye ke jab bhi ham kuch bhi khaye ham allah tala ka nam le.
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
Bismillah hirrehman nirrahim.
Tarjuma: Allah ke nam ke sath jo bahut meherban or bar bar reham farmane wala hai
Khane Ke Baad Ki Dua: Shukriya Ada Karne Ka Tarika
Jab hum khana kha chuke ho hame allah shubhanu tala ki shukar ada karni chahiye.
Isse allah tala hame or barkat ata farmate hai.
- Rasulallah sallelahu alehi wasallam ne farmaya jo khana khakar allah ka sukar ada karta hai wo roja rakhke sabr karne walo ke brabar hai .
Alhamdulillahillazi atamana wasakana waza’alna minalmuslimin
Tarjuma: tamam khubiyan us allah ke liye hai jisne hame khilaya or pilaya or musalman bnaya .
Khane ki Dua : Agar parhna bhul jaye
Aksar asa hota hai hum khana khane se pehle Allah ka nam lena bhul jate hai. Lekin hamara din bahut khubsurat or asan hai or or hamare pas dua hai agar hum khana khana bhul jaye to or khane ke bich me hame yad aye to niche diye geye dua ko parhle .
Bismillahi awwalahu wa akhaira.
Tarjuma : suru or akhir mein Allah ka nam lekar khata hu.
Khane Ki Dua Ka Maqsad: Khana Shuru Karne Se Pehle Allah Ka Shukar
- Allah shubhanu tala ka shukar ada karna .
- Allah ka nam lene se hamara khana shaitan ko nehin lagega
- Rizq mein barkat hoti hai .
- Sawab milta hai .
Khane Ki Dua Aur Iski Fazilat: Barakat Aur Sehat
Bachon Ko Khane Ki Dua Sikhane Ke Asaan Tarike
Bachon ko khane ki dua sikhane ka asan tarika ye hai , har bachon ko allah ka nam yani bismillah yad hoti hai to uneh kuch bhi khane ko de to uneh yad dilade ke allah ka nam lekar khana hai nahi. To shaitan tumhara khana kha lega, asa karne se inshallah ak din uneh khud dhiyan a’a jayega, inshallah wo khud ak din khane se pehle parhne lagenge.
Khane Ki Dua Ka Talafuz: Sahi Tarah Se Kaise Padhein?
Jeise ham am dua ya quran parhte hai usi trah khana khane ki dua bhi parah jayega.
Lekin padhna bahut ahem hai ye hame rizq mein barkat ata farmata hai allah shubhanu tala ka raza hasil hoti hai. Aap sallallahu alaihi wasallam ka sunnat ki peirbi hoti hai.
Aam Khane Ki Duain: Har Waqt Allah Ko Yaad Karne Ka Zariya
Am khane ki dua bhi allah shubhanu tala ka nam lena hai . chahe hum choti se choti cheez hi kyun na khaye isse har chij mein barkat hoti hai shaitan ko nehin lagti, rizq mein barkat hoti hai.
Agar ham pani bhi piye to bhi hame allah subhanahu tala ka naam lekar pina chahiye warna wo shaitan ko lagegi
Doodh pine ki dua: fazilat or barkat
Doodh ak asa rizq hai jisme duniya ki tamam khano ka rizk hoti hai.isliye Aap sallelahu alehi wasallam ne farmaya teen cheeze agar tumhe koi de to kabhi mana nahi karna 1.doodh 2. Tel
3.Takiya. Ap sallelahu kabhi doodh ke liye mana nehin karte the kyunki dhoodh ak wahid aisa cheez hai jimse tamam ka rizq hai .
- Doodh pine se bhi pehle Allah tala ka naam lekar pina chahiye .
Or jab dudh pi chuke ho to allah tala ka shukar ada kare niche diye gaye dua parhke .
Allahumma bariklana fihi wajidna minhu .
Tarjuma: ye allah hamre liye isme barkat ata farma or hame esse or jyada de .
Khana khane ki dua se hum Allah tala ka shukar ada karte hain aur rizq mein barkat milti hai. Islamic Jankari ke zariye, humein yeh samajhna chahiye ke dua se har choti cheez mein barakat hoti hai. Bacho ko dua sikhane se unhe bhi yeh adat ho jati hai.